17 Oct 2012

Why I love my Urdu Language...

Lou urdu se pyar aur angrezi may q likhen? Kabhi socha hai k agar kisi se uska haal pochna ho tou ap kese pochte hain:
" ap kese hain"
"apka kya haal hai"
"apki tabiyat kesi hai"
"ap thek hain"
Aur agar kuch is tarhan pocha jaye laheja badal k tou baat k maani he badL jatay hain.
"tabiyat tou thek hai apke?" (esay lagta hai ghusay se poch rahay houn)
"kya hua apke tabiyat ko?"(tabiyat poch rahay hain yan dabay lafzon may tanz kar rahay hain)
 Aur english may ' how are u', ' how r u feeling today' aur baat khatam.dekha janab urdu may dosre ka haal pochne may ap apna haal bata saktay hain. Lekin janay q hum urdu se bhagtay hain. Humari apni zuban may lafzun aur ehsaasat ka ek waseeh samandar honay k bawajood hum urdu bolna sharmandagi ka baiss aur angrezi may fakhar samajhtay hain. Iske bhi bohat si wajohat hain per jo wajohat hain woh yahan zair e behas nai is lye may wapis urdu zuban ke khobsurti byan karne pe ati hun.

Agar apne kisi se pyar ka izhar karna ho tou jo mithas,gehrai urdu k ilfaz aur sheron may hain woh ratay rataaye i love u may kahan? Mjhe lagta hai jazbat ke akaasi jo urdu k ilfaz kar saktay hain unka koi saani nahi phir chahy woh pyar k hun,chahy nafrat k,chahy kisi k ehsaas aur hamdardi k hun,chahy tanz o mazah k. Ab jo jughten urdu may lagatay hain angrezi may translate krk dekhen.

Apna tou ab yeh haal hai urdu chorro angrezi bhi theek se nahi ati. 3 may na 13 may na suthli ki girha may.is misal k pechay jo kahani hai kya pochi hai kabhi apne barun se? Sochne samajhne ka kaam kaun karay bhai bara mushkil hota hai yeh bhi.yeh bhi nahi malum k ghor-o- fikar ibadat hai. Aur yeh samjhay thay april fools day  aur valentine day na manana naiki aur ibadat k mutradif hai.

No comments:

Post a Comment